kal  raat  ka.ī  ḳhvāb-e-pareshāñ  nazar  aa.e
jo  shahr  ki  ābād  the  vīrāñ  nazar  aa.e
bikhrī  huī  roñdī  huī  lāshoñ  se  guzar  kar
TuuTe  hue  mīnār-e-shahīdāñ  nazar  aa.e
kohsār-e-himāla  kī  jhalak  ḳhvāb  meñ  dekhī
gañgā  meñ  ubalte  hue  tūfāñ  nazar  aa.e
pahle  to  kisī  qarya-e-barbād  meñ  Thahre
aage  jo  baḌhe  gor-e-ġharībāñ  nazar  aa.e
mahkī  huī  ajdād  kī  ḳhushbū  se  havā.eñ
har-gām  pe  āsār-e-azīzāñ  nazar  aa.e
jis  ghar  meñ  farishtoñ  kī  ziyā  thī  usī  ghar  meñ
arvāh-e-ḳhabīsa  ke  charāġhāñ  nazar  aa.e
jo  matla-e-taqdīs-e-mohabbat  the  vo  chehre
ḳhafagī  ke  sabab  ham  se  gurezāñ  nazar  aa.e
ham  jin  ko  daġhā  de  ke  kahīñ  bhaag  ga.e  the
vo  ahl-e-haram  bā-sar-e-uryāñ  nazar  aa.e
ik  pīr-e-muqaddas  kā  hayūlā  nazar  aayā
phir  rīsh-e-safed-o-dur-e-dandāñ  nazar  aa.e
ham  jin  kī  pareshānī-e-ḳhātir  kā  sabab  the
vo  ālam-e-rūyā  meñ  pareshāñ  nazar  aa.e
ik  dāman-e-ismat  kī  kiran  duur  se  phūTī
dāman  pe  ka.ī  gauhar-e-ġhaltāñ  nazar  aa.e
thī  jis  ke  tabassum  meñ  malā.ek  kī  halāvat
sad-haif  ki  vo  ḳhvāb  meñ  giryāñ  nazar  aa.e
is  shahr  ko  jo  shaḳhs  ke  maulid  kā  sharaf  ho
vo  shaḳhs  usī  shahr  meñ  mehmāñ  nazar  aa.e
lab  par  hai  'ra.īs'  apne  ye  misra.a  ka.ī  din  se
kal  raat  ka.ī  ḳhvāb  pareshāñ  nazar  aa.e