Imdad Ali Bahr

wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata

Imdad Ali Bahr

1810-1878
vo rashk-e-mehr-o-qamar ghaat par nahīñ aatā
kabhī añdhere-ujāle nazar nahīñ aatā
ye kah do kūcha-e-jānāñ ke jaane vāloñ se
udhar jo koī gayā phir idhar nahīñ aatā
tilā.ī-rañg ye kyā kyā chale haiñ talvāreñ
kisī ke qabze meñ vo kunj-e-zar nahīñ aatā
vo nā-tavāñ huuñ ki suntā nahīñ koī merī
vo zaar huuñ ki kisī ko nazar nahīñ aatā
mirī taraf se ye ġhaflat hai ham-safīroñ ko
chaman se uḌ ke kabhī ek par nahīñ aatā
nahīñ nasīb meñ apnī jo daulat-e-bedār
to ḳhvāb meñ bhī mirā svayamvar nahīñ aatā
azāb-e-naz.a hī qāsid kā intizār mujhe
ajal hī aa.e agar nāma-bar nahīñ aatā
vo kaun log haiñ jin par humā hai sāya-fagan
yahāñ to buum bhī bālā-e-sar nahīñ aatā
yahāñ vasīla-e-rozī faqat hai yād-e-ḳhudā
ki hech-kāra haiñ koī hunar nahīñ aatā
bashar ko chāhne anjām-e-kār kī kuchh fikr
jahān meñ koī bār-e-digar nahīñ aatā
sanam ko haath se jaane na dījiye ai 'bahr'
nikal ke musht-e-sadaf se guhar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com