buland-o-past  meñ  manzil  hameñ  kahīñ  na  milī
jo  āsmān  se  nāzil  hue  zamīñ  na  milī
gila  nahīñ  ki  tirā  sañg-e-āstāñ  na  milā!
ye  hai  ki  dīda-e-tar  ko  vo  āstīñ  na  milī
kabhī  jo  shāna-e-uqda-kushā  nasīb  huā
to  us  kī  zulf-e-girah-gīr  o  ambarīñ  na  milī
bajā  ki  jān-e-zuleḳhā  the  misr  meñ  yūsuf
magar  jo  baat  thī  kan.āñ  meñ  vo  kahīñ  na  milī
mile  jo  arsh  pe  ḳhuld-e-barīñ  to  kyā  hāsil?
ki  is  zamīñ  pe  hameñ  jannat-e-zamīñ  na  milī
'ra.īs'  daad  ḳhudāvand-e-āfrīnash  ko!
agar  milī  to  ba-juz  harf-e-āfrīñ  na  milī