Rais Amrohvi

didani hai bahaar ka manzar

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
dīdanī hai bahār kā manzar
zahr chhiḌkā gayā daraḳhtoñ par
bun rahe haiñ urūs-e-gul kā kafan
magas-e-barg o ankabūt-e-shajar
chiil kavvoñ ko tākte rahiye
chāñd tāroñ se thak ga.ī hai nazar
jo mirā takiya-e-javānī thā
usī bargad kī jhuk ga.ī hai kamar
haath phailā ke chīḳhte haiñ daraḳht
sarsar-e-hādisa kā ruḳh hai kidhar
surḳh phūloñ ke laal añgāre
chashm-e-zard-e-uqāb ke aḳhgar
vo jabīn-e-shafaq pe ḳhatt-e-shuā
ḳhuun se kis ke surḳh hai ḳhanjar
ab ke barsāt kuchh to raas aa.ī
ghaas ugne lagī muñDeroñ par
dhuup is sahn meñ na dar aa.e
band kar do tamām rauzan-e-dar
raqs karte hue bagūloñ meñ
dev o jinnāt o ruuh ke lashkar
dekhtā huuñ ki kyā dikhāte haiñ
apne saa.e pe jam ga.ī hai nazar
ālam-e-be-ḳhudī meñ gahrā saañs
sīna-e-kā.enāt meñ hai safar
aap apne se kyuuñ gurezāñ huuñ
kisī aaseb kā hai mujh pe asar
kaun mere liye hai shab-bedār
kyuuñ baraste haiñ raat bhar patthar
maiñ hī maiñ huuñ ḳhalā-e-tīra meñ
na atārid na mushtarī na qamar
tah-ba-tah zulmateñ haiñ jumbish meñ
reñgte haiñ siyāh-posh azhdar
jabalushshams kī bulandī se
dekhtā huuñ zamīñ ko jhuk jhuk kar
ek pur-nūr nīlgūñ nuqta
kāñptā hai ḳhalā meñ rah rah kar
kahkashāñ se shumāl kī jānib
vaqt ke be-nishān mehvar par
nuur ke dā.ere haiñ gardish meñ
āḳhir in qāfiloñ kā ruḳh hai kidhar
kaun āḳhir jhiñjhoḌtā hai mujhe
ālam-e-ḳhvāb meñ sar-e-bistar
kaun āḳhir mujhe jagātā hai
āḳhir shab meñ roz aa aa kar
na shahāba na koī tayyāra
kaun uḌ kar gayā idhar se udhar
Top Urdushayar.com