tirā  ḳhayāl  ki  ḳhvāboñ  meñ  jin  se  hai  ḳhushbū
vo  ḳhvāb  jin  meñ  mirā  paikar-e-ḳhayāl  hai  tū
satā  rahī  haiñ  mujhe  bachpane  kī  kuchh  yādeñ
vo  garmiyoñ  ke  shab-o-roz  dopahar  kī  vo  lū
pachās  saal  kī  yādoñ  ke  naqsh  aur  naqshe
vo  koī  nisf  sadī  qabl  kā  zamāna-e-hū
vo  garm-o-ḳhushk  mahīne  vo  jeTh  vo  baisākh
ki  hāfize  meñ  kabhī  aah  haiñ  kabhī  aañsū
vo  zaa.eñ  zaa.eñ  ke  kitne  muhīb  zanāTe?
fazā  kā  haul  havā  kī  vo  vahshateñ  har  sū
vo  saa.eñ  saa.eñ  ke  kitne  ajiib  sannāTe?
vo  sansanī  vo  pur-asrār  ek  ālam-e-hū
vo  dopahar  vo  habūḌe  vo  señgī  baa.ī  kuuT
fazā-e-sho.ala-bajān  o  havā-e-ātish-e-ḳhū
vo  khiḌkiyoñ  meñ  havāoñ  kī  sar-kashī  tundī
vo  bām-o-dar  pe  musallat  jahannamī  jaadū
vo  pech-o-tāb  bagūloñ  kā  mere  āñgan  maiñ
chuḌeleñ  ghar  meñ  ghus  aa.ī  haiñ  khaul  kar  gesū
vo  lū  kā  zor  ki  saare  kivāḌ  bajte  haiñ
ki  jaise  lashkar-e-jinnāt  kā  amal  har  sū
vo  shor  jaise  bagūloñ  meñ  bhuut  hoñ  raqsāñ
vo  qāh-qāh  vo  hā-hā  vo  hoñk  vo  hū-hū
guzar  rahā  hai  tasavvur  se  jeTh  kā  mausam
aur  is  samay  meñ  mujhe  yaad  aa  rahā  hai  tū