habs  ke  aalam  meñ  mahbas  kī  fazā  bhī  kam  nahīñ
rauzan-e-dīvār-e-zindāñ  kī  havā  bhī  kam  nahīñ
shorish-e-zanjīr-e-pā  par  haiñ  agar  pābandiyāñ
halke  halke  jumbish-e-zanjīr-e-pā  bhī  kam  nahīñ
gar  sar-e-maqtal  na  ho  zikr-e-butāñ  kā  hausla
hujra-e-tārīk  meñ  yād-e-ḳhudā  bhī  kam  nahīñ
rahrav-e-shab  kyuuñ  charāġh-e-mah  se  daryūza-garī
raat  añdherī  ho  to  jugnū  kī  ziyā  bhī  kam  nahīñ
laakh  mohkam  ho  hisār-e-marhabī-o-antarī
ġhāziyoñ  kā  bāzū-e-ḳhaibar-kushā  bhī  kam  nahīñ
ahd-e-gul  se  sāzish-e-bād-e-ḳhizāñ  bhī  kam  na  thī
shāḳh-e-gul  se  sozish-e-barq-e-balā  bhī  kam  nahīñ
kyā  huā  gar  vā.iz-o-mullā  ke  dil  haiñ  be-charāġh
gosha-e-masjid  meñ  nanhā  sā  diyā  bhī  kam  nahīñ
lazzat-e-bāda  hai  jāñ-parvar  magar  ai  ahl-e-zauq
zahr-e-ashk-o-qatra-e-ḳhūñ  kā  mazā  bhī  kam  nahīñ