siyāh  hai  dil-e-gītī  siyāh-tar  ho  jaa.e
ḳhudā  kare  ki  har  ik  shaam  be-sahar  ho  jaa.e
kuchh  is  ravish  se  chale  bād-e-barg-e-rez-e-ḳhizāñ
ki  duur  tak  saf-e-ashjār  be-samar  ho  jaa.e
bajā.e  rañg  rag-e-ġhunchā  se  lahū  Tapke
khile  jo  phuul  to  har  barg-e-gul  sharar  ho  jaa.e
zamāna  pī  to  rahā  hai  sharāb-e-dānish  ko
ḳhudā  kare  ki  yahī  zahr  kārgar  ho  jaa.e
koī  qadam  na  uThe  sū-e-manzil-e-maqsūd
duā  karo  ki  har  ik  raah  pur-ḳhatar  ho  jaa.e
ye  log  rah-guzar-e-zīst  se  bhaTak  jaa.eñ
ajal  qavāfil-e-hastī  kī  ham-safar  ho  jaa.e
ba-qadr  yak-do-nafs  bhī  girāñ  hai  zahmat-e-zīst
hayāt-e-nau-e-bashar  aur  muḳhtasar  ho  jaa.e