ham  ne  ai  dost  rifāqat  se  bhalā  kyā  paayā
jū-e-be-āb  hai  tū  maiñ  shajar-e-be-sāya
dard  jo  aql  ke  isrāf  se  bach  rahtā  hai
ishq  ke  qaht-zadoñ  kā  hai  vahī  sarmāyā
dīda-o-dil  se  guzartā  hai  koī  shaḳhs  aksar
jaise  āhū-e-ramīda  kā  gurezāñ  saayā
kal  faqat  gesū-e-barham  the  nishān-e-tashvīsh
aaj  dekhā  to  unheñ  aur  pareshāñ  paayā
husn  se  jab  bhī  chhiḌā  mārka-e-dīda-o-dil
ḳhud  mirā  ishq  mire  madd-e-muqābil  aayā
maiñ  huuñ  ḳhud  apnī  hī  ḳhākistar-e-jāñ  meñ  madfūn
dafn  ho  jaise  ḳharābe  meñ  koī  sarmāyā