Amanullah Khalid

hai meri zist tere gham se farozan jaanan

Amanullah Khalid

hai mirī ziist tire ġham se farozāñ jānāñ

kaun kahtā hai mujhe be-sar-o-sāmāñ jānāñ

terī yādeñ mire hamrāh ba-har-gām haiñ jab

maiñ ne samjhā nahīñ ḳhud ko pareshāñ jānāñ

nabz-e-ehsās bahut sust huī jaatī hai

dil ko darkār hai phir dard paikāñ jānāñ

hañste hañste nazar aate the jahāñ ġhuncha-o-gul

vīrāñ vīrāñ lage hai vo gulistāñ jānāñ

ab na vo soz na vo saaz hai dil meñ phir bhī

ek āvāz aatī hai ki jānāñ jānāñ

zikr-e-māzī se gurezāñ huuñ ye sach hai lekin

yaad hai aaj bhī mujh ko tirā paimāñ jānāñ

itnī tanhā.ī ehsās musalsal ho agar

apne saa.e se bhī Dar jaatā hai insāñ jānāñ

tere hāthoñ vo mehñdī vo tirā surḳh libās

is tasavvur se bhī dil hai mirā larzāñ jānāñ

ek muddat huī go ahd-e-bahārāñ guzre

chaak hai aaj talak merā garebāñ jānāñ

maiñ tujhe bhuul na paayā to ye chāhat hai mirī

yaad rakkhā hai jo ne tirā ehsāñ jānāñ

aaj 'ḳhālid' ke ḳhayālāt har rāhguzar

hai tire husn ke partav se charāġhāñ jānāñ

Top Urdushayar.com