Amanullah Khalid

ghar apna wadi-e-barq-o-sharar mein rakkha jae

Amanullah Khalid

ghar apnā vādī-e-barq-o-sharar meñ rakkhā jaa.e

ta.alluqāt saudā na sar meñ rakkhā jaa.e

agar talab ho kabhī chand ghūñT paanī

samundaroñ tasavvur nazar meñ rakkhā jaa.e

sunā hai duḳhtar-e-tahzīb ghar se bhaag ga.ī

chhupā ke bachchoñ ko hargiz na ghar meñ rakkhā jaa.e

pata nahīñ ki kahāñ rah-zanoñ ho yalġhār

koī difā.a bhī raḳht-e-safar meñ rakkhā jaa.e

batāo kaise milegī hameñ sahīh ta.abīr

jab apnā ḳhvāb chashm-e-digar meñ rakkhā jaa.e

lo ab to ham bhī havāoñ ke saath chalne lage

hamārā naam bhī ahl-e-hunar meñ rakkhā jaa.e

kitāb ziist meñ bāb-e-alam bhī ho mahfūz

siyāh-rāt manzar sahar meñ rakkhā jaa.e

qafas ko le ke jo uḌā jaa.e gulistāñ taraf

vo azm tā.ir-e-be-bāl-o-par meñ rakkhā jaa.e

Top Urdushayar.com