Amanullah Khalid

zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye

Amanullah Khalid

zamīñ jaise ātish-fishāñ ko saath liye

yuuñ rahā huuñ maiñ dard-e-nihāñ ko saath liye

huā shikār siyāsat ab ke mausam bhī

bahār aa.ī hai lekin ḳhizāñ ko saath liye

ruko to yuuñ ki Thahar jaa.e gardish-e-daurāñ

chalo to aise ki saare jahāñ ko saath liye

nafas nafas haiñ ujāle hazār karb liye

har ek raat hai ik dāstāñ ko saath liye

kise zamīñ ke masā.il fikr ho 'ḳhālid'

har ik nazar hai yahāñ āsmāñ ko saath liye

Top Urdushayar.com