Imdad Ali Bahr

is tarah zist basar ki koi pursan na hua

Imdad Ali Bahr

1810-1878
is tarah ziist basar kī koī pursāñ na huā
yuuñ maiñ duniyā se uThā dāġh-e-azīzāñ na huā
mustaqil vaz.a rahī kuchh ġham-e-daurāñ na huā
āñdhiyoñ meñ bhī ġhubār apnā pareshāñ na huā
vaz.a par harf na aa.ī diyā vahshat meñ bhī
lafz-o-ma.anī kī tarah maiñ kabhī uryāñ na huā
vaar kyā kyā na sahe teġh havādis kī magar
aise bashshāsh rahe zaḳhm bhī giryāñ na huā
bujh gayā dil kā kañval daaġh se jalte jalte
gul kisī shab ye charāġh-e-shab-e-hijrāñ na huā
sāmnā aise balāoñ kā rahā duniyā meñ
malak-ul-maut bhī aa.e to hirāsāñ na huā
eḌiyāñ maiñ ne ye ragḌīñ ki gaḌhe Daal diye
gorkan kā bhī maiñ sharminda-e-ehsāñ na huā
misl-e-nai nāla-kashī meñ mirī guzrī guzre
dil meñ nāsūr to ye hai koī pursāñ na huā
abrū jaatī agar be-asar aañsū bahte
shukr añgusht-numā panja-e-mizhgāñ na huā
ulfat abrū-e-sanam kī huī patthar kī lakīr
mahv-e-dil se ḳhat-e-qismat kisī unvāñ na huā
munharif kyuuñ ruḳh-e-mahbūb se hai ai vaa.iz
tū musalmān huā qā.il-e-qur.āñ na huā
dil se nā-chīz zamāne meñ koī chiiz nahīñ
mol kyā muft bhī jis kā koī ḳhvāhāñ na huā
ham bhī to dekhte kis tarah nikalte gir kar
chāh-e-yūsuf ye tirā chāh-e-zanaḳhdāñ na huā
kapḌe phāḌe se bhī nikle na harārat dil kī
rishta-e-sham.a koī tār-e-garebāñ na huā
naala karne ko bhī muñh chāhiye al-qais-e-hazīñ
koī zangūla-e-jammāza hudī-ḳhvāñ na huā
sufla-o-dūñ na kabhī raunaq-e-mahfil hoñge
jugnū din se kabhī aalam meñ charāġhāñ na huā
ai junūñ nikle na ik daaġh se hasrat dil kī
daaġh mujh ko hai ki tā.ūs-e-gulistāñ na huā
haa.e shañgarf hai likkhe ki lab-e-lālīñ hai
baat ye pūchhte yāqūt raqam-ḳhāñ na huā
koī laḌkā na dam-e-qaid huā dāman-gīr
koī patthar mujhe sañg-e-rah-e-zindāñ na huā
ai junūñ kuchh na milā ābla-pā.ī kā mazā
gokharo paañv meñ kyuuñ ḳhār-e-muġhīlāñ na huā
kyā faromāya baḌhegā use himmat kyā hai
'bahr' dariyā kā kabhī chaah meñ tuġhyāñ na huā
Top Urdushayar.com