Saadat Saeed

aankhon se wo kabhi meri ojhal nahin raha

Saadat Saeed

Lahore, Punjab, Pakistan

1949

āñkhoñ se vo kabhī mirī ojhal nahīñ rahā

ġhāfil maiñ us yaad se ik pal nahīñ rahā

kyā hai jo us ne duur basā haiñ bastiyāñ

āḳhir mirā dimāġh bhī avval nahīñ rahā

laao to sirr-e-dahr ke mafhūm ḳhabar

uqda agarche koī bhī mohmal nahīñ rahā

shāyad na sakūñ maiñ surāġh-e-dayār-e-shauq

qibla durust karne kas-bal nahīñ rahā

dasht-e-fanā meñ dekhā musāvāt uruuj

ashraf nahīñ rahā koī asfal nahīñ rahā

hai jis taḳht sajda-gah-e-ḳhās-o-ām-e-shahr

maiñ us se milne ke liye be-kal nahīñ rahā

jis dam jahāñ se Doltī Dolī uTh ga.ī

tabl o alam to kyā koī manDal nahīñ rahā

Top Urdushayar.com