Payam Fatehpuri

jo tabassumon se ho gul-fishan wahi lab hansi ko taras gae

Payam Fatehpuri

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1923-2000

jo tabassumoñ se ho gul-fishāñ vahī lab hañsī ko taras ga.e

hamīñ shahryār-e-hayāt the hamīñ zindagī ko taras ga.e

ye ajiib sub.h-e-bahār hai koī zindagī kiran nahīñ

hamīñ ḳhāliq-e-mah-o-mehr haiñ hamīñ raushnī ko taras ga.e

ye chaman hai kaisā chaman jahāñ tahī-dāmanī nasīb hai

ye bahār kaisī bahār hai ki kalī kalī ko taras ga.e

na karam na koī itaab hai koī is adā javāb hai

kabhī dostī ko taras ga.e kabhī dushmanī ko taras ga.e

vahī manziloñ se bhaTak ga.e na junūñ ke saath jo chal sake

jo fareb hosh meñ aa ga.e rah-e-āgahī ko taras ga.e

hai ajab nasīb bhī ishq na vafā milī na jafā milī

tire iltifāt kyā ḳhabar tirī be-ruḳhī ko taras ga.e

maiñ 'payām' kāfir-e-ishq huuñ mirī gumrahī bhī hai bandagī

ki fidā-e-ka.aba-o-dair bhī mirī kāfirī ko taras ga.e

Top Urdushayar.com