Mansoor Faaiz

kuchh pata mera nahin hai aashiyanon mein kahin

Mansoor Faaiz

1979
kuchh pata merā nahīñ hai āshiyānoñ meñ kahīñ
gum huā huuñ chalte chalte kārvānoñ meñ kahīñ
ai duā us kī ḳhabar le kar tū jaldī lauTnā
gum ga.ī hai aah merī āsmānoñ meñ kahīñ
ḳhvāb ke rath jis jagah hotā hai bādal par safar
aaj shab le jā mujhe tū un jahānoñ meñ kahīñ
ek sūraj chhup gayā hai aa ke chādar meñ mirī
ek saaya mil gayā hai sā.ebānoñ meñ kahīñ
raat mash.al le ke un ko DhūñDne maiñ jā.uñgā
jo chhupe baiThe haiñ dil ke raakh dānoñ meñ kahīñ
garche hai dushvār phir bhī DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ek chehra gum huā ā.īna-ḳhānoñ meñ kahīñ
jin ke hone se mayassar haiñ tujhe āsāniyāñ
kaash ho merā shumār un mehrbānoñ meñ kahīñ
Top Urdushayar.com