Imdad Ali Bahr

saqi tere baghair hai mahfil se dil uchaT

Imdad Ali Bahr

1810-1878
saaqī tire baġhair hai mahfil se dil uchāT
so jaise jī udaas hai so dil se dil uchāT
sū-e-adam phire chale jaate haiñ qāfile
sab ham-safar haiñ ziist hai manzil se dil uchāT
jis roz se ki shauq-e-asīrī huā mujhe
sayyād hai shikār-e-anādil se dil uchāT
Thukrā.e bhī na aa ke lahad fātiha kujā
mar kar huā huuñ us but-e-qātil se dil uchāT
juz marg kuchh nahīñ hai tap-e-hijr kā ilaaj
ham naqsh chaaT kar hue aamil se dil uchāT
kāñToñ pe misl-e-qais kahāñ tak ravāñ-davāñ
lailā-e-jāñ hai jism kī mahmil se dil uchāT
dozaḳh mujhe bahisht ke badle qubūl hai
aisā huuñ ek hūr-shamā.il se dil uchāT
jhankār se maiñ chār-qadam aage jā.ūñgā
zindān meñ huā jo salāsil se dil uchāT
majnūñ kī chaal lailā agar do-qadam chale
tābūt dil-pasand ho mahmil se dil uchāT
qātil hamāre dil ko taḌaptā na chhoḌ jā
ik dam ke vāste na ho bismil se dil uchāT
Top Urdushayar.com