kuchh  nahīñ  kah  rahī  ye  raat  mujhe
dard  se  chāhiye  najāt  mujhe
jaane  lagtā  hai  aisā  kyuuñ  mujh  ko
phir  girānā  hai  somnāt  mujhe
be-niyāzī  kī  is  bulandī  par
kuchh  nahīñ  kahte  sānehāt  mujhe
jab  nikaltā  huuñ  dā.ere  se  kabhī
khīñch  letī  hai  kā.enāt  mujhe
ye  jahāñ  maiñ  sañvār  jā.uñgā
raas  aa.ī  agar  hayāt  mujhe
sab  taġhayyur  hai  jab  haqīqat  meñ
kise  mumkin  ki  ho  sabāt  mujhe
mil  ga.ī  to  maiñ  din  banā.ūñgā
raushnī  se  bharī  davāt  mujhe
chalte-phirte  hue  ujāle  meñ
DhūñD  letī  hai  roz  raat  mujhe