Imdad Ali Bahr

qadr-dan koi na asfal hai na aala apna

Imdad Ali Bahr

1810-1878

qadr-dāñ koī na asfal hai na a.alā apnā

na zamīn par na falak par hai Thikānā apnā

dast-e-shafqat se diyā aap ne chhallā apnā

haath bhar baḌh gayā siine meñ kaleja apnā

aa.e mastī ke din ayyām-e-bahārī aa.e

sher tarah lagā gūñjne sahrā apnā

na bharā jaam na saaqī ne kabhī yaad kiyā

tāq-e-nisyāñ pe dharā rahtā hai miinā apnā

dekhte bhī vo nahīñ aañkh uThā kar ham ko

saad hotā nahīñ sarkār meñ chehrā apnā

kis ke hāthoñ hadaf-e-tīr-e-balā ham na hue

dil hai mānind-e-kamāñ sab se kashīda apnā

dil-jale dūd-e-pareshāñ tarah haiñ barbād

ham kahīñ Thahreñ to batlā.eñ Thikānā apnā

kaun mushtāq hai ham daaġh dikhā.eñ kis ko

dekheñ ḳhud sūrat-e-tā.ūs tamāshā apnā

sharm bande tire haath hai ai rabb-e-karīm

na khule ḳhaak ke parde meñ bhī pardā apnā

ham ko jo rañj pahuñchte haiñ vo kis se kahiye

ham ko mehmān samajhtī nahīñ duniyā apnā

zindagī chāhiye jañgal meñ bhī kuchh ḳhauf nahīñ

ai junūñ sher āḳhir kabhī ghar thā apnā

turfa ḳhushkī-o-tarī hai hameñ sair ai 'bahr'

dasht hai apnā ġhubār ashk hai dariyā apnā

Top Urdushayar.com