Imdad Ali Bahr

hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab

Imdad Ali Bahr

1810-1878
hamīñ nāshād nazar aate haiñ dil-shād haiñ sab
hamīñ is daur meñ barbād haiñ ābād haiñ sabab
ḳhāksāroñ se bhalā itnī kudūrat kyā hai
ek dāman ke jhaTakne meñ to barbād haiñ sabab
shikva ab kyā hai tujhe kahte na the ham ai dil
jin ke talvār se abrū haiñ vo jallād haiñ sab
uqde khul jā.eñge aġhyār ke rafta rafta
hamīñ zulfoñ ke giraftār haiñ āzād haiñ sab
un hasīnoñ meñ burā kis ko kahūñ kis ko bhalā
mujhe dīvāna banāne ko jo tayyār haiñ sab
āstīñ dīda-e-giryāñ se judā ho kyūñkar
nahīñ bhūle kisī chitvan ke maze yaad haiñ sab
kis ke kākul nahīñ shānoñ pe khule rahte hai
dām-bar-dosh mire vāste sayyād haiñ sabab
koī suntā nahīñ fariyād kisī ke bulbul
kahne ko jitne haiñ gul-gosh be-fariyād haiñ sab
dasht-gardī hī davā mujh ko agar saudā hai
ḳhaar jañgal ke nahīñ nashtar-e-fassād haiñ sab
sham.a rotī hai to is bazm meñ sar kaTtā hai
dādras koī nahīñ bar-sar-e-bedād haiñ sab
na to raftār bure aur na guftār bure
jitnī us shab meñ adā.eñ haiñ ḳhudā-dād haiñ sab
sadqe ruḳh par huuñ ki qurbān qad-e-zebā par
ġhairat-e-gul meñ ye but ġhairat-e-shamshād haiñ sab
nsibatan farq nahīñ ek haiñ abnā-e-jahāñ
ek hai un kī aur ik baap kī aulād haiñ sab
us kī dīvār se sar phoḌ rahe haiñ āshiq
rashk-e-shīrīñ hai vo but ġhairat-e-farhād haiñ sab
dil-lagī kis se karūñ 'bahr' ki jī chhūT gayā
mehr-pesha nahīñ koī sitam-ījād haiñ sab
Top Urdushayar.com