Chandrabhan Khayal

phir lauT ke aaya hun tanhai ke jangal mein

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
phir lauT ke aayā huuñ tanhā.ī ke jañgal meñ
ik shahar-e-tasavvur hai ehsās ke har-pal meñ
tū misr kī malika hai maiñ yūsuf-e-kan.āñ huuñ
afsos magar gum haiñ tafrīq ke daldal meñ
insān kī duniyā meñ insāñ hai pareshāñ kyuuñ
machhlī to nahīñ hotī bechain kabhī jal meñ
har fikr ke chehre par sau zaḳhm haiñ maazī ke
ik lafz nahīñ zinda āvāz ke maqtal meñ
chuTkī meñ masalte haiñ tinke bhī pahāḌoñ ko
jab ḳhuun simaTtā hai mazlūm ke āñchal meñ
phir chhoḌ diyā tanhā duniyā ne 'ḳhayāl' ham ko
phir zehn pareshāñ hai jazbāt kī halchal meñ
Top Urdushayar.com