phir  lauT  ke  aayā  huuñ  tanhā.ī  ke  jañgal  meñ
ik  shahar-e-tasavvur  hai  ehsās  ke  har-pal  meñ
tū  misr  kī  malika  hai  maiñ  yūsuf-e-kan.āñ  huuñ
afsos  magar  gum  haiñ  tafrīq  ke  daldal  meñ
insān  kī  duniyā  meñ  insāñ  hai  pareshāñ  kyuuñ
machhlī  to  nahīñ  hotī  bechain  kabhī  jal  meñ
har  fikr  ke  chehre  par  sau  zaḳhm  haiñ  maazī  ke
ik  lafz  nahīñ  zinda  āvāz  ke  maqtal  meñ
chuTkī  meñ  masalte  haiñ  tinke  bhī  pahāḌoñ  ko
jab  ḳhuun  simaTtā  hai  mazlūm  ke  āñchal  meñ
phir  chhoḌ  diyā  tanhā  duniyā  ne  'ḳhayāl'  ham  ko
phir  zehn  pareshāñ  hai  jazbāt  kī  halchal  meñ