miltā  nahīñ  ḳhud  apne  qadam  kā  nishāñ  mujhe
kin  marhaloñ  meñ  chhoḌ  gayā  kārvāñ  mujhe
lamhe  kā  lams  phail  chukā  kā.enāt  par
āvāz  dene  aa.ī  haiñ  ab  dūriyāñ  mujhe
ik  jast  meñ  tamām  huiiñ  saarī  vus.ateñ
lā  ab  na.ī  zamīn  nayā  āsmāñ  mujhe
aaj  ek  dasht-vasht  meñ  tanhā  shajar  bhī  maiñ
hairat  se  tākte  haiñ  sabhī  kārvāñ  mujhe
jañgal  kī  aag  phail  ga.ī  saare  sahn  meñ
le  jaa.e  ab  junūn  na  jaane  kahāñ  mujhe
saare  tilism  TuuT  ga.e  ishtiyāq  ke
vo  raah  meñ  mile  jo  kabhī  nā-gahāñ  mujhe
taḳhlīq-e-sher  jehd-e-musalsal  vo  ḳhāna-zād
ek  ek  lafz  dar  pe  mahāz-e-garāñ  mujhe