justujū  ke  paañv  ab  ārām  sā  paane  lage
ab  hamāre  paas  bhī  kuchh  rāste  aane  lage
vaqt  aur  hālāt  par  kyā  tabsira  kiije  ki  jab
ek  uljhan  dūsrī  uljhan  ko  suljhāne  lage
shahr  meñ  jurm-o-havādis  is  qadar  haiñ  āj-kal
ab  to  ghar  meñ  baiTh  kar  bhī  log  ghabrāne  lage
dil  meñ  aa  baiThā  hai  dekho  dūriyoñ  kā  devtā
ham  jamā.at  ke  tasavvur  se  bhī  uktāne  lage
tum  kisī  mazlūm  kī  āvāz  ban  kar  gūñjnā
yaad  merī  jab  tumheñ  shiddat  se  taḌpāne  lage
le  rahā  hai  dard  añgḌā.ī  uThā  vo  ehtijāj
zaḳhm-ḳhurda  sab  parinde  pañkh  phailāne  lage
kaam  aisā  kyuuñ  kiyā  jaa.e  ki  jis  ke  ba.ad  meñ
aadmī  apne  kiye  par  aap  pachhtāne  lage