kabhī  jo  shab  kī  siyāhī  se  nā-gahāñ  guzre
ham  ahl-e-zarf  har  ik  soch  par  garāñ  guzre
nigāh-o-dil  se  miTā  deñ  jo  tishnagī  kā  azaab
vo  ābshār  ke  dhāre  abhī  kahāñ  guzre
ġham  āfrīñ  thā  musalsal  sukūt-e-shahar-e-habīb
ham  is  galī  se  magar  phir  bhī  shādmāñ  guzre
shikastagī  kī  tilismī  fazā  na.ī  to  nahīñ
yahāñ  to  aise  ka.ī  daur  imtihāñ  guzre
nazar  meñ  shoḳh  shabīheñ  liye  hue  hai  sahar
abhī  na  koī  idhar  se  dhuāñ  dhuāñ  guzre
tamām  koh  kashākash  thā  mere  sar  pe  'ḳhayāl'
agarche  aur  bhī  duniyā  meñ  saḳht  jaañ  guzre