ghaḌī-bhar  ḳhalvatoñ  ko  aañch  de  kar  bujh  gayā  sūraj
kisī  ke  dard  kī  lai  par  kahāñ  tak  nāchtā  sūraj
nigāhoñ  meñ  na.e  andāz  se  phir  raushnī  hogī
jab  ug  aa.egā  zehnoñ  meñ  hamāre  ik  nayā  sūraj
zamīñ  kā  karb  auj-e-āsmāñ  par  bhī  jhalak  uTThā
nasheb-e-koh  par  jur.at  se  jab  jab  aa  milā  sūraj
hamāre  ghar  ke  āñgan  meñ  sitāre  bujh  ga.e  lākhoñ
hamārī  ḳhvāb  gāhoñ  meñ  na  chamkā  sub.h  kā  sūraj
shabistāñ-dar-shabistāñ  zulmatoñ  kī  ek  yūrish  hai
har  ik  dāman  se  lipTā  hai  laraztā  hāñptā  sūraj
hamāre  bām-e-dar  se  aaj  bhī  lipTī  hai  tārīkī
hamāre  āsmānoñ  meñ  batāo  kab  ugā  sūraj
sunā  dī  dāstāñ  apnī  jo  ham  ne  be-zabāñ  ho  kar
misāl-e-qatra  shabnam  bikhar  kar  ro  paḌā  sūraj