daulat-e-haq  mujh  ko  hāsil  ho  ga.ī  hai
zindagī  ab  aur  mushkil  ho  ga.ī  hai
ab  nahīñ  āsān  duniyā  se  guzarnā
is  kī  parchhā.īñ  muqābil  ho  ga.ī  hai
log  manzil  kī  taraf  lapke  haiñ  lekin
bhiiḌ  meñ  ġhaflat  bhī  shāmil  ho  ga.ī  hai
saath  tūfān-e-havādis  hai  magar  ab
zindagī  nazdīk-e-sāhil  ho  ga.ī  hai
dūsrī  duniyāoñ  kī  chāhat  meñ  dekho
merī  duniyā  ḳhud  se  ġhāfil  ho  ga.ī  hai
din  haqā.eq  se  ulajhte  kaT  gayā  phir
raat  lekin  nazr-e-bātil  ho  ga.ī  hai
jab  kabhī  lafzoñ  ko  maiñ  ne  dī  sadā.eñ
ik  sadā-e-ġhaib  nāzil  ho  ga.ī  hai