ḳhol  ke  andar  simaT  kar  rah  gayā  maiñ
apne  saa.e  se  bhī  kaT  kar  rah  gayā  maiñ
le  gayā  vo  chhīn  kar  merī  javānī
us  pe  bas  yūñhī  jhapaT  kar  rah  gayā  maiñ
jab  kabhī  niklā  julūs-e-rañg-o-nik.hat
TuuTī  dīvāroñ  se  saT  kar  rah  gayā  maiñ
chal  rahā  thā  vo  mire  shāna-ba-shāna
ḳhud  hī  us  se  duur  haT  kar  rah  gayā  maiñ
us  ne  muTThī-bhar  mujhe  ūñchā  kiyā  jab
aur  bhī  ik  haath  ghaT  kar  rah  gayā  maiñ
chaah  thī  ghul  jā.ūñ  saare  manzaroñ  meñ
haif  kuchh  logoñ  meñ  baT  kar  rah  gayā  maiñ
bārhā  aisā  huā  mahsūs  jaise
āsmānoñ  se  lipaT  kar  rah  gayā  maiñ