chilchilātī  dhuup  sar  par  aur  tanhā  aadmī
aah  ye  ḳhāmosh  patthar  aur  tanhā  aadmī
jis  tarah  ik  barf  ke  Tiile  pe  jaltī  ho  chitā
ye  pighaltā  mom  sā  ghar  aur  tanhā  aadmī
is  hisār-e-ḳhāmushī  meñ  barsar-e-paikār  haiñ
tez  āvāzoñ  ke  lashkar  aur  tanhā  aadmī
kyā  usī  kā  naam  hai  ra.anā.ī-e-bazm-e-hayāt
tañg  kamra  sard  bistar  aur  tanhā  aadmī
kis  tarah  ābād  hogī  dil  kī  suunī  kā.enāt
Dūbte  majrūh  manzar  aur  tanhā  aadmī
haa.e  un  be-kār  zehnoñ  kī  ghanī  parchhā.iyāñ
uf  ye  sannāTe  kā  ajgar  aur  tanhā  aadmī
raat  ke  nañge  badan  se  ḳhvāhishoñ  kī  chheḌ-chhāḌ
har-ghaḌī  anjām  kā  Dar  aur  tanhā  aadmī