maiñ  jahāñ  jā.ūñ  mire  saath  chale  sannāTā
merī  āñkhoñ  meñ  lagātār  jale  sannāTā
sub.h  aatī  hai  dabe  paañv  chalī  jaatī  hai
gher  letā  hai  mujhe  shaam  Dhale  sannāTā
bhāgtī  bhiiḌ  ke  qadmoñ  se  lipaT  kar  ro.e
varna  har  sust  musāfir  ko  chhale  sannāTā
tum  ḳhayālāt  ke  ḳhemoñ  meñ  simaT  mat  jaanā
jab  sar-e-rāh  kabhī  haath  male  sannāTā
phir  mire  shahr  meñ  lauT  aa.ī  hai  dahshat-gardī
phir  har  ik  jism  ke  saa.e  meñ  pale  sannāTā
ab  makānoñ  kī  chhatoñ  kā  bhī  nazāra  kar  lo
gungunātā  hai  sitāroñ  ke  tale  sannāTā
āj-kal  un  ke  Thikānoñ  meñ  baḌī  halchal  hai
kaash  mere  bhī  shabistāñ  se  Tale  sannāTā