zindagānī  rañj  aur  ġham  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
uf  ki  har-dam  sog-o-mātam  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
roz-o-shab  apne  guzar  jaanā  dayār-e-ġhair  meñ
dāstān-e-azm-e-mohkam  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
kaun  dahshat-gard  hai  aur  kaun  hai  dahshat-zada
ye  sab  ik  ib.hām-e-paiham  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
gūñjtī  hai  ḳhāmushī  har-dam  jo  mere  chār-sū
dar-haqīqat  shor-e-ālam  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
tum  jise  samjhe  ho  duniyā  us  ke  āñchal  ke  tale
gesuoñ  ke  pech  aur  ḳham  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
dekhtā  rahtā  hai  bandoñ  par  musalsal  saḳhtiyāñ
kyā  ḳhudā  ik  ism-e-āzam  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
devtā  sī  fikr  aur  tarz-e-amal  ke  bāvajūd
aadmī  bas  ibn-e-ādam  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ