Dubo.e  detā  hai  ḳhud-āgahī  kā  baar  mujhe
maiñ  Dhaltā  nashsha  huuñ  mauj-e-tarab  ubhār  mujhe
ai  rūh-e-asr  meñ  terā  huuñ  terā  hissa  huuñ
ḳhud  apnā  ḳhvāb  samajh  kar  zarā  sañvār  mujhe
bikhar  ke  sab  meñ  abas  intizār  hai  apnā
jalā  ke  ḳhaak  kar  ai  sham-e-intizār  mujhe
sadā-e-rafta  sahī  lauT  kar  maiñ  ā.ūñgā
farāz-e-ḳhvāb  se  ai  zindagī  pukār  mujhe
azaab  ye  hai  ki  mujhe  jaise  phuul  aur  bhī  haiñ
salīb-e-shāḳh  se  dast-e-ḳhizāñ  utaar  mujhe
ġharīb-e-shahr  navā  hī  sahī  magar  yaaro
bahut  hai  apnī  hī  āvāz  kā  dayār  mujhe