Anwar Siddiqui

kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa

Anwar Siddiqui

Chail, Uttar pradesh, India

1928
kyā shahr meñ hai garmi-e-bāzār ke sivā
sab ajnabī haiñ ek dil-e-zār ke sivā
is dasht-e-be-ḳhudī meñ ki duniyā kaheñ jise
ġhāfil sabhī haiñ ik nigah-e-yār ke sivā
chehroñ ke chāñd raakh hue baam bujh ga.e
kuchh bhī bachā na hasrat-e-dīdār ke sivā
aalam tamām tīrgi-e-dard-e-muzmahil
haañ ik faroġh-e-shola-e-ruḳhsār ke sivā
saarī shafaq sameT ke sūraj chalā gayā
ab kyā rahā hai mauj-e-shab-e-tār ke sivā
jis samt dekhiye hai salīboñ kī ik qatār
koī ufuq nahīñ ufuq-e-dār ke sivā
Top Urdushayar.com