Anwar Siddiqui

hujum shoala mein tha halqa-e-sharar mein tha

Anwar Siddiqui

Chail, Uttar pradesh, India

1928
hujūm sho.ala meñ thā halqa-e-sharar meñ thā
kab apnā ḳhvāb meñ koī sāya-e-shajar maiñ thā
maiñ aaj phir tujhe kyā dekh pā.ūñgā duniyā
vo shaḳhs der talak aaj phir nazar meñ thā
siyah fazāoñ meñ ūñchī uḌaan se pahle
kiran kiran kā ujālā sā baal o par meñ thā
ḳhunuk fazāoñ meñ us dasht-e-ġham ke aane tak
hamāre saath koī aur bhī safar meñ thā
sharar sharar the jo lamhe hasīn lagte the
jo lutf thā bhī to kuchh qurb-e-muḳhtasar meñ thā
bikhar ke TuuT ga.e ham bikhartī duniyā meñ
ḳhud-āfrīnī kā saudā hamāre sar meñ thā
Top Urdushayar.com