ye  mai-kashī  kā  sabaq  hai  na.e  nisāb  ke  saath
ki  ḳhūn-e-dil  hameñ  piinā  hai  ab  sharāb  ke  saath
bas  is  yaqīn  pe  hotī  haiñ  laġhzisheñ  aksar
ki  rahmatoñ  kā  bhī  daatā  hai  tū  azaab  ke  saath
ye  qurbatoñ  kā  ishāra  hai  yā  judā.ī  kā
jo  zard  phuul  milā  hai  tire  javāb  ke  saath
zarā  vo  saath  bhī  chalte  haiñ  lauT  jaate  haiñ
hijāb  TuuT  rahe  haiñ  magar  hijāb  ke  saath
kahīñ  hai  tañgī  subū  kī  kahīñ  farāvānī
to  phir  giraft  bhī  maulā  usī  hisāb  ke  saath
agar  raqīb  nahīñ  hai  to  kaun  hai  vo  shaḳhs
dikhā.ī  detā  hai  jo  āj-kal  janāb  ke  saath
ḳhayāl-e-sūd-o-ziyāñ  aur  husūl-e-manzil-e-ishq
zavāl-e-umr  meñ  jaise  koī  shabāb  ke  saath
faqat  yuuñ  shor  machāne  kā  fā.eda  kyā  hai
sazā  bhī  denā  zarūrī  hai  ehtisāb  ke  saath
hamāre  ho  to  zarā  khul  ke  e'timād  karo
nayā  savāl  uThāte  ho  kyuuñ  javāb  ke  saath
ye  apne  aap  ko  paanā  hai  tujh  ko  khonā  kyuuñ
tamām  umr  kaTī  hai  is  iztirāb  ke  saath
ye  sab  ġhurūb  ke  āsār  haiñ  ayaañ  'ādil'
ki  saa.e  baḌhne  lage  Dhalte  āftāb  ke  saath