masrūf  rahguzar  pe  chalā  jā  rahā  thā  maiñ
phir  kyuuñ  lagā  ki  sab  se  judā  jā  rahā  thā  maiñ
ta.amīr-e-zāt  hī  meñ  lagī  zindagī  tamām
ḳhāliq  banā  rahā  thā  banā  jā  rahā  thā  maiñ
hāsil  thiiñ  jin  ko  rāhateñ  vo  bhī  fanā  hue
kyuuñ  apnī  muflisī  se  Darā  jā  rahā  thā  maiñ
dariyā-e-zīst  kī  yahī  manzil  thī  āḳhirī
ik  bahr-e-be-karāñ  meñ  girā  jā  rahā  thā  maiñ
samjhā  thā  aa.ine  meñ  mirā  aks  hī  nahīñ
zāhir  thā  aur  sab  se  chhupā  jā  rahā  thā  maiñ
pahle  to  kū-e-yār  kī  phir  daar  kī  talab
daldal  meñ  ḳhvāhishoñ  kī  dhañsā  jā  rahā  thā  maiñ
maiñ  gard-e-rāh  thā  magar  e.ajāz  dekhiye
har  kārvāñ  ke  saath  uḌā  jā  rahā  thā  maiñ
rukne  meñ  Dar  ye  thā  ki  tavāzun  bigaḌ  na  jaa.e
'ādil'  isī  gumāñ  meñ  chalā  jā  rahā  thā  maiñ