ham  apne  zaḳhm  sabhī  ko  dikhā  nahīñ  sakte
jo  shikva  tum  se  hai  sab  ko  sunā  nahīñ  sakte
mire  ḳhayāl  kī  gahrā.ī  ko  zarā  samjho
ki  sirf  lafz  to  matlab  batā  nahīñ  sakte
malāl  ye  hai  ki  saaqī  to  ban  ga.e  sāhab
sharāb  haath  meñ  hai  aur  pilā  nahīñ  sakte
ajab  hai  phuul  kī  fitrat  use  masal  kar  tum
mahakte  hāthoñ  kī  ḳhushbū  chhupā  nahīñ  sakte
likhā  gayā  jo  muqaddar  meñ  harf-e-āḳhir  hai
tum  apnī  marzī  se  is  ko  miTā  nahīñ  sakte
hazāroñ  hiile  bahāne  tarāsh  lo  phir  bhī
tum  apne  chehre  kī  ḳhiffat  chhupā  nahīñ  sakte
ab  ek  ham  haiñ  ki  sadiyāñ  guzār  deñ  'ādil'
aur  ek  vo  haiñ  ki  lamha  batā  nahīñ  sakte