maiñ  bhī  kyā  zabt  āzmātā  huuñ
tauba  kartā  huuñ  bhuul  jaatā  huuñ
ġham  sā  rahtā  huuñ  tujh  se  duurī  meñ
aur  qurbat  meñ  kho  sā  jaatā  huuñ
apnī  hastī  kī  azmateñ  aksar
inkisārī  se  jhuk  ke  paatā  huuñ
kyuuñ  muqayyad  huuñ  zaat  meñ  apnī
jabki  duniyā  se  dil  lagātā  huuñ
us  kī  zulfoñ  ko  ab  ke  suljhā  kar
ḳhud  ko  uljhā  huā  sā  paatā  huuñ
jaane  vaale  ko  ye  nahīñ  ma.alūm
maiñ  tasavvur  meñ  us  ko  laatā  huuñ
ġham-gusārī  meñ  dost  kī  'ādil'
rañj  sahtā  huuñ  muskurātā  huuñ