bas  har  ik  raat  yahī  jurm  kiyā  hai  maiñ  ne
lā  ke  ḳhvāboñ  meñ  tujhe  dekh  liyā  hai  maiñ  ne
har  baras  ziist  kā  lamha  sā  lagā  hai  lekin
ba.az  lamhoñ  meñ  to  sadiyoñ  ko  jiyā  hai  maiñ  ne
chhūTe  jaate  haiñ  sabhī  ahal-e-ḳharābāt-e-junūñ
kyā  ajab  aql  se  saudā  ye  kiyā  hai  maiñ  ne
sāġhar-e-marg  ko  suqrāt  ne  pī  kar  ye  kahā
zindagī  tere  liye  zahr  piyā  hai  maiñ  ne
apne  har  ḳhvāb  kī  ta.abīr  ko  paane  ke  liye
ik  samundar  thā  jise  paar  kiyā  hai  maiñ  ne
tum  nahīñ  jānte  maqtal  se  Darāne  vaalo
jaañ  kā  nazrāna  ka.ī  baar  diyā  hai  maiñ  ne
kaise  mumkin  hai  ki  maiñ  tujh  se  tirī  baat  karūñ
tere  kahne  pe  to  hoñToñ  ko  siyā  hai  maiñ  ne
mai-kashī  meñ  bhī  ka.ī  daur  guzāre  'ādil'
kabhī  chullū  kabhī  sāġhar  se  piyā  hai  maiñ  ne