ham  se  to  rāh-o-rasm  hai  aġhyār  kī  tarah
duniyā  pe  mehrbān  haiñ  ġham-ḳhvār  kī  tarah
kam-mā.egī  na  pūchh  mirī  bazm-e-ġhair  meñ
uThtī  hai  har  nigāh  ḳharīdār  kī  tarah
maiñ  tājirān-e-ishq  ke  baare  meñ  kyā  kahūñ
in  kā  junūñ  hai  garmī-e-bāzār  kī  tarah
ḳhud-sāḳhta  butoñ  ko  maiñ  ab  toḌ-tāḌ  kar
pūjūñgā  bas  usī  ko  parastār  kī  tarah
zauq-e-nazar  ko  aap  samajhte  haiñ  gar  gunāh
nādim  khaḌā  huuñ  maiñ  bhī  gunahgār  kī  tarah
dekhī  hai  maiñ  ne  shāḳh  se  pattoñ  kī  ruḳhsatī
jaane  na  dūñgā  ab  tujhe  har  baar  kī  tarah
zād-e-safar  kī  fikr  na  manzil  kā  ho  ḳhayāl
rāh-e-talab  meñ  aao  talabgār  kī  tarah
chāhā  hai  tum  ko  yuuñ  ki  tumheñ  bhī  ḳhabar  na  ho
sochā  hai  tum  ko  an-kahe  ash.ār  kī  tarah
kahne  ko  koī  band-o-salāsil  nahīñ  magar
sab  haiñ  fasīl-e-jāñ  meñ  giraftār  kī  tarah
'ādil'  ruḳh-e-nigār  nahīñ  dil  kā  aa.ina
iqrār-e-ḳhās  hotā  hai  inkār  kī  tarah