nishāñ  manzil  kā  batlāyā  na  mujh  ko  ham-safar  jaanā
tazabzub  meñ  paḌā  hai  vo  jise  maiñ  ne  ḳhizar  jaanā
nazar  merī  basīrat  ko  sadā  mahdūd  rakhtī  hai
pas-e-manzar  nahīñ  dekhā  faqat  pesh-e-nazar  jaanā
jahāñ  taqdīr  le  jaa.e  vahāñ  raste  nahīñ  jaate
kiyā  thā  ruḳh  idhar  kā  kyuuñ  likhā  thā  jab  udhar  jaanā
havāla  zindagī  kā  bhī  tumhārī  zulf  jaisā  hai
bikharnā  phir  sañvar  jaanā  sañvarnā  phir  bikhar  jaanā
junūñ  kī  raah  ko  ab  tak  samajh  paa.e  nahīñ  sāhab
ki  apne  jism  ko  Dhā  kar  faqat  jaañ  se  guzar  jaanā
Duboyā  jis  ne  kashtī  ko  use  hī  nā-ḳhudā  samjhe
diye  the  jis  ne  saare  dukh  usī  ko  chāragar  jaanā
unhīñ  tārīk  rāhoñ  se  guzarnā  hai  tumheñ  'ādil'
charāġh-e-jāñ  jalā  kar  tum  bilā  ḳhauf-o-ḳhatar  jaanā