yuuñ  sukūnat  kī  talabgār  huī  jaatī  hai
zindagī  sāya-e-dīvār  huī  jaatī  hai
har  mulāqāt  pe  kuchh  aur  bahaktī  nazreñ
kyā  tirī  zaat  pur-asrār  huī  jaatī  hai
sub.h  kahtī  hai  mire  saath  chalo  aage  baḌho
mat  kaho  ziist  girāñ-bār  huī  jaatī  hai
yuuñ  samā.ī  hai  tirī  saañs  mirī  sāñsoñ  meñ
har  nafas  garmī-e-afkār  huī  jaatī  hai
Dagmagā  kar  hī  mirī  ziist  sambhaltī  hai  zarā
kaun  kahtā  hai  ki  be-kār  huī  jaatī  hai
ruuh  to  jism  se  rishte  ko  nibhāne  ke  liye
maut  se  barsar-e-paikār  huī  jaatī  hai
justujū  us  kī  agar  koī  ḳhatā  hai  'ādil'
ye  ḳhatā  mujh  se  lagātār  huī  jaatī  hai