ye  diyā  ḳhuuñ  se  jalā  phir  bhī  jalā  hai  to  sahī
laakh  rasman  hī  milā  mujh  se  milā  hai  to  sahī
an-kahī  baat  samajh  lo  to  baḌī  baat  hai  ye
merī  ḳhāmosh  navā.ī  meñ  sadā  hai  to  sahī
Dagmagātā  mujhe  dekhe  to  sahārā  de  koī
ye  jo  laġhzish  hai  to  laġhzish  kā  mazā  hai  to  sahī
bhīgī  āñkheñ  ye  batātī  haiñ  ki  sun  kar  mirā  haal
kuchh  na  kuchh  tujh  ko  bhī  ehsās  huā  hai  to  sahī
kaheñ  maġhrūr  ko  badmast  magar  sach  ye  hai
inkisārī  meñ  bhī  apnā  hī  nasha  hai  to  sahī
zindagī  bhar  mirī  hastī  meñ  rachā  ho  jaise
tujh  ko  dekhā  nahīñ  mahsūs  kiyā  hai  to  sahī
kāvish-e-zīst  hai  kyā  apnī  hī  hastī  kī  talāsh
ḳhud  ko  pā  lenā  hī  insāñ  kā  sila  hai  to  sahī
hai  jo  āzurdagī  us  kī  dam-e-ruḳhsat  'ādil'
tujh  ko  andāza-e-tajdīd-e-vafā  hai  to  sahī