uljhan  meñ  hast-o-būd  kī  yuuñ  mubtalā  huuñ  maiñ
ḳhud  apnā  aks  huuñ  ki  tirā  aa.ina  huuñ  maiñ
mujh  ko  kiyā  hai  lā.iq-e-sajda  isī  liye
ajzā-e-kā.enāt  meñ  sab  se  judā  huuñ  maiñ
tū  ek  hai  magar  haiñ  tire  an-ginat  majāz
har  aa.ine  meñ  tere  numāyāñ  huā  huuñ  maiñ
tishna-labī  meñ  zabt  ho  aur  vo  bhī  us  ghaḌī
jab  ittifāq  se  lab-e-dariyā  khaḌā  huuñ  maiñ
mānind-e-kahkashāñ  ye  miTātī  hai  tīrgī
paḌh  kar  kitāb-e-ishq  ko  raushan  huā  huuñ  maiñ
āsūdgī  ko  chhoḌ  vo  hāsil  rahī  mujhe
lekin  mohabbatoñ  ko  tarastā  rahā  huuñ  maiñ
dariyā  sifat  bhī  ho  ke  na  sairāb  kar  sakā
barse  binā  jo  chhaT  ga.ī  aisī  ghaTā  huuñ  maiñ
dast-e-jafā  se  jis  ke  ye  vahshat  mujhe  milī
us  ko  bhī  hai  gila  ki  darinda-numā  huuñ  maiñ
tanhā.ī  meñ  ik  ālam-e-imkāñ  basā  liyā
'ādil'  yuuñ  apne  aap  meñ  kuchh  DhūñDhtā  huuñ  maiñ