dastūr  thā  jo  ġham  kā  purānā  badal  gayā
sambhle  na  the  abhī  ki  zamāna  badal  gayā
shikva  nahīñ  ki  sāġhar-o-mīnā  badal  ga.e
TuuTā  ḳhumār  kaif-e-shabāna  badal  gayā
jo  baab  the  aham  abhī  hone  the  vo  raqam
par  kyā  ki  likhte  likhte  fasāna  badal  gayā
mashq-e-suḳhan  vahī  hai  mashaqqat  bhī  hai  vahī
kaise  karūñ  yaqīn  zamāna  badal  gayā
naġhma-sarā  haiñ  ham  to  usī  sur  meñ  lai  meñ  haiñ
par  log  kah  rahe  haiñ  tarāna  badal  gayā
qaa.em  purāne  hīloñ  bahānoñ  pe  aaj  bhī
samjhe  the  is  kā  tarz  bahāna  badal  gayā
merī  thī  kyā  majāl  haqīqat  badal  sakūñ
ḳhāke  tah-e-ḳhayāl  banānā  badal  gayā
'ādil'  tujhe  yaqīñ  nahīñ  aayā  na  aa.egā
terā  vo  yār-e-ġhār  purānā  badal  gayā