sāz-e-hastī  pe  abhī  jhuum  ke  gā  le  mujh  ko
zindagī  se  ye  kaho  aur  na  Taale  mujh  ko
maiñ  ne  to  sub.h-e-daraḳhshāñ  kī  duā  māñgī  thī
kyuuñ  mile  zard  charāġhoñ  ke  ujāle  mujh  ko
tujh  ko  paane  ke  liye  umar  gañvā  dī  maiñ  ne
haq  to  bantā  hai  ki  tū  apnā  banā  le  mujh  ko
ye  to  saaqī  kī  jagah  aur  koī  baiThā  hai
ye  jo  gin  gin  ke  pilātā  hai  piyāle  mujh  ko
maiñ  zamāne  ke  jhameloñ  meñ  dhañsā  jaatā  huuñ
us  se  kahiye  ki  vo  daldal  se  nikāle  mujh  ko
apnī  ḳhāmosh  tamannā  kī  aziyyat  se  nikal
jo  sunānā  hai  zarā  khul  ke  sunā  le  mujh  ko
nā-tavānī  hī  mirī  tāb-o-tavāñ  hai  'ādil'
maiñ  ne  kab  tujh  se  kahā  thā  ki  bachā  le  mujh  ko