ġham  se  bikhrā  na  pā.emāl  huā
maiñ  to  ġham  se  hī  be-misāl  huā
vaqt  guzrā  to  mauja-e-gul  thā
vaqt  Thahrā  to  māh-o-sāl  huā
ham  ga.e  jis  shajar  ke  saa.e  meñ
us  ke  girne  kā  ehtimāl  huā
bas  ki  vahshat  thī  kār-e-duniyā  se
kuchh  bhī  hāsil  na  hasb-e-hāl  huā
sun  ke  īrān  ke  na.e  qisse
kuchh  ajab  sūfiyoñ  kā  haal  huā
jaane  zindāñ  meñ  kyā  kahā  us  ne
jis  kā  kal  raat  intiqāl  huā
kis  liye  zulm  hai  ravā  is  dam
jis  ne  pūchhā  vo  pā.emāl  huā
jis  ta.alluq  pe  faḳhr  thā  mujh  ko
vo  ta.alluq  bhī  ik  vabāl  huā
ai  'hasan'  neza-e-rafīqāñ  se
sar  bachānā  bhī  ik  kamāl  huā