Hasan Naim

wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991

vahshat-e-jāñ ko payām-e-nigah-e-nāz to do

is fasāne ko zarā garmī-e-āġhāz to do

mere qadmoñ ke nishāñ raah se kuchh duur sahī

tum se maiñ duur nahīñ huuñ mujhe āvāz to do

dil meñ tūfān nahīñ ho to kare kyā naġhma

maiñ sunātā huuñ yahī raag mujhe saaz to do

koī buniyād nahīñ qaid-e-ta.alluq abhī

jazba-e-ġham ko zarā fikr andāz to do

us ne siine se lagāyā jo kahā maiñ ne 'hasan'

dil meñ rakhne ke liye apnā koī raaz to do

Top Urdushayar.com