Imdad Ali Bahr

hum na-qishon ke daur mein kaamil hue to kya

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ham nā-qishoñ ke daur meñ kāmil hue to kyā
ujḌe hue ilāqe ke aamil hue to kyā
ham ko to iftiḳhār hai paiġhām-e-yār par
jibrīl āsmān se nāzil hue to kyā
muddat se phir rahī hai chhurī jān-e-zār par
ham aaj teġh-e-yār se bismil hue to kyā
dāġhoñ meñ us ke dāġh-e-mohabbat kī bū kahāñ
laale ke phuul ham se muqābil hue to kyā
rāhat nasīb ham ko huī rahmat ai karīm
Takrā ke sar bahisht meñ dāḳhil hue to kyā
phūloñ meñ zar luTā na gul-e-surḳh kā kabhī
be-faiz log raunaq-e-mahfil hue to kyā
us kī sifat yahī hai ki be-māñge dī murād
dargāh meñ karīm ke saa.il hue to kyā
āsān haiñ jo nāḳhun-e-taqdīr tez hai
matlab hamāre uqda-e-mushkil hue to kyā
murdoñ ko zinda kījiye nām-āvarī ye hai
iisā banāo aap ko qātil hue to kyā
har-dam charāġh-e-dil kī idhar lau lagī rahe
ham apnī yādgār se ġhāfil hue to kyā
hogā na ek rañg ḳhizān-o-bahār kā
būḌhe agar javānoñ ke shāmil hue to kyā
apne ma.āl-e-kār se jab be-ḳhabar hue
hāfiz hue to ḳhaak jo fāsil hue to kyā
tan se mafāriqat nahīñ kartī tab-e-firāq
ta.avīz bhī gale meñ hamā.il hue to kyā
ai 'bahr' bāġhbān kī minnat balā kare
do-chār phuul baaġh se hāsil hue to kyā
Top Urdushayar.com