Imdad Ali Bahr

hum na-qishon ke daur mein kaamil hue to kya

Imdad Ali Bahr

1810-1878

ham nā-qishoñ ke daur meñ kāmil hue to kyā

ujḌe hue ilāqe ke aamil hue to kyā

ham ko to iftiḳhār hai paiġhām-e-yār par

jibrīl āsmān se nāzil hue to kyā

muddat se phir rahī hai chhurī jān-e-zār par

ham aaj teġh-e-yār se bismil hue to kyā

dāġhoñ meñ us ke dāġh-e-mohabbat kahāñ

laale ke phuul ham se muqābil hue to kyā

rāhat nasīb ham ko huī rahmat ai karīm

Takrā ke sar bahisht meñ dāḳhil hue to kyā

phūloñ meñ zar luTā na gul-e-surḳh kabhī

be-faiz log raunaq-e-mahfil hue to kyā

us sifat yahī hai ki be-māñge murād

dargāh meñ karīm ke saa.il hue to kyā

āsān haiñ jo nāḳhun-e-taqdīr tez hai

matlab hamāre uqda-e-mushkil hue to kyā

murdoñ ko zinda kījiye nām-āvarī ye hai

iisā banāo aap ko qātil hue to kyā

har-dam charāġh-e-dil idhar lau lagī rahe

ham apnī yādgār se ġhāfil hue to kyā

hogā na ek rañg ḳhizān-o-bahār

būḌhe agar javānoñ ke shāmil hue to kyā

apne ma.āl-e-kār se jab be-ḳhabar hue

hāfiz hue to ḳhaak jo fāsil hue to kyā

tan se mafāriqat nahīñ kartī tab-e-firāq

ta.avīz bhī gale meñ hamā.il hue to kyā

ai 'bahr' bāġhbān minnat balā kare

do-chār phuul baaġh se hāsil hue to kyā

Top Urdushayar.com