Imdad Ali Bahr

har taraf majma-e-ashiqan hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
har taraf majma-e-āshiqāñ hai
tere dam kā ye saarā samāñ hai
itnā maġhrūr kyuuñ bāġhbāñ hai
ye chaman chaar din meñ ḳhizāñ hai
ishq meñ be-ḳhabar ho gayā huuñ
kis se pūchhūñ mirā dil kahāñ hai
kuchh nahīñ sūjhtī sair-e-gulshan
merī āñkhoñ se vo gul nihāñ hai
dhyān āThoñ-pahar hai usī kā
maiñ yahāñ huuñ mirā dil vahāñ hai
siine par rakh ke sotā huuñ us ko
us kī tasvīr ārām-e-jāñ hai
aañsū bahne lage dekhte hī
zulf-e-mahbūb hai yā dhuāñ hai
jaan parvāna hai us parī par
sham-e-sozāñ har ik ustuḳhvāñ hai
be-muravvat hai vo bevafā hai
saarī mehnat mirī rā.egāñ hai
kyā taḌapte guzarte hī apne
dard-e-dil meñ hai lab par fuġhāñ hai
hijr meñ kyuuñ nahīñ maut aatī
haa.e kyā dāġh-e-dil maraz-e-jāñ hai
DhūñDhtā huuñ maiñ yūsuf ko apne
ḳhaak mere pas-e-kārvāñ hai
jām-e-mul haath meñ vo baġhal meñ
'bahr' apnī ye qismat kahāñ hai
Top Urdushayar.com